Saada Hair Style Banaain Baal Sehat Mand Rahy Gay

Baalon ki hifazat nay humaary hair Style bhi bohat eham kaam siranjaam daytay hain, Kiyo kay Simple hair styles bana ker aap apny baalon ko sehat mand bana sakti hain.
70 aur 80 ki dhai kay hair styles baalon kay liye munasib nahi hain. mahireen-e-sehat kehtay hain nat naye hair styles say baalon may totny aur Kamzoor hony ka khudsha paida ho jata hay.
Fashion karain lekin baalon ki lambai aur munasib daikh ker karain kiyo kay aj kal puranay hair styles kay dobara fashion may ajanay say baalon ki sehat per asar per raha hay. mahireen ka kehna hay k sutter aur assi ki dhai kay fashion may baalon ko jukker ker bandha jata tha, jis say un ki jarrain kamzoor ho jati hain. mahireen nay kafi arsay say jari tehkeek kay baad kaha hay kay 80 k dhai kay doraan khawateen may baal ssowarny kay jo andaaz muqbool hoye thy wo nihayat ghair fitri hony ki wja say baloon ki sehat kay liye nuksaan dah thay.

Oxford Univercity kay tehat jany wali us tehkeek k sir baraha professor Markis Dewsai thay. jinho nay taweeltajerbaat, mushahdaat aur mutaally kay bad kaha hay k us ddor may maqbool hair styles ki aksiriat fittri asoloon kay khilaaf honay k bais waqti tor per baloon ko saanwaar ker haseen aur purkashish andaaz day deti thi.
Mager der haqiqat ye style baalon per aisay muzer asraat mertub kerty thay jo bohat jald baalon ko un kay quderti hussan mehroom kerny ka bais banty thy.us door may aisy hair kut ziada maqbool thay jin may tamam baalon ki lumbai aik si nahi hoti thi bulkay sir k baal mukhtalif hisson kay bal lumbai aur andaaz may dosri itraaf k baloon say choty ya baray hoty thay.

Hair Beauty Tips, Tips

 

© 2011 Styles Tips And Designs - Designed by Maira Khan | Sitemap

Like Facebook Page